Mai aur mera Tala !

Tala kitna yaad dilata hai,
roz band karte waqt,
mud kar dekho to,
muskurata hua chidhata hai.


shaam jab ghar lauto to,
mai usko , wo mujko wahin pata hai,
bura lagta hai zaroor par,
bol nahi sakta,
zindegi ki ahem dosti tod nahi sakta.
kambakth phir bhi roz chidhata hai,
Akelepan ki yad tala hi dilata hai.

Comments

Popular posts from this blog

Jeeta Raha

kash ye kash na hota

Sapne !!