Posts

Showing posts from July, 2011

Ji chahta hai.

sneh ka bandhan, subeh k oss se bheega aangan, ek bar phir,  saans bharne ko ji chahta hai. hawaon ke sath gawon se, guzarne ko ji chahta hai. babuji ka galtiyon pe dantana, phir chip kar muskurana, us muskurahat k liye phir se, galtiyan karne ko ji chahta hai. ma ke hathon ki pherni phir, chakhne ko ji chahta hai. galiyon me shararat, karne ko ji chahta hai. lamhon ko un, kayd karne ko ji chahta hai.

Mai aur mera Tala !

Tala kitna yaad dilata hai, roz band karte waqt, mud kar dekho to, muskurata hua chidhata hai. shaam jab ghar lauto to, mai usko , wo mujko wahin pata hai, bura lagta hai zaroor par, bol nahi sakta, zindegi ki ahem dosti tod nahi sakta. kambakth phir bhi roz chidhata hai, Akelepan ki yad tala hi dilata hai.