Jeeta Raha

samay ko pakad,
youn hi chalne ki koshis,
karta raha, 
youn hi chalta raha.


lamhon ko un, 
mai bhi jeene ki koshis,
karta raha ,
youn hi jeeta raha.


socha na tha ,
gam k badal bhi honge,
raahon me mere kante bhi honge.
saath kaanton k, dekhe badal ghanere.
phir bhi jeeta raha ,
gam ko peeta raha.


aankhon k aage ,
jana unka saha tha,
aansu na aaye ,dil ye rota raha tha.
jaan jab tak chalegi,
tees tab tak rahegi,


jaan sach ko mai apne ,
tees sehta raha,
chalta raha ,
youn hi jalta raha,
jeeta raha ,
gam ko peeta raha.

Comments

Popular posts from this blog

kash ye kash na hota

Sapne !!