samay ko pakad, youn hi chalne ki koshis, karta raha, youn hi chalta raha. lamhon ko un, mai b hi jeene ki koshis, karta raha , youn hi jeeta raha. socha na tha , gam k badal bhi honge, raahon me mere kante bhi honge. saath kaanton k, dekhe badal ghanere. phir bhi jeeta raha , gam ko peeta raha. aankhon k aage , jana unka saha tha, aansu na aaye ,dil ye rota raha tha. jaan jab tak chalegi, tees tab tak rahegi, jaan sach ko mai apne , tees sehta raha, chalta raha , youn hi jalta raha, jeeta raha , gam ko peeta raha.
kabhi mere nazron se dekha jo hota ... youn aapko hamse shikayat na hoti... bayan apne dil ko kabhi kiya jo hota .... aisi zindegi ki hume bandish na hoti.... sath chalte zara sa.. guzarte un pakdandiyon se... faasle na hote... kaash ye kaash na hota... tum wahan na hote ... mai yehan na hota...
Comments
Post a Comment