Ji chahta hai.

sneh ka bandhan,
subeh k oss se bheega aangan,
ek bar phir, 
saans bharne ko ji chahta hai.
hawaon ke sath gawon se,
guzarne ko ji chahta hai.
babuji ka galtiyon pe dantana,
phir chip kar muskurana,
us muskurahat k liye phir se,
galtiyan karne ko ji chahta hai.
ma ke hathon ki pherni phir,
chakhne ko ji chahta hai.
galiyon me shararat,
karne ko ji chahta hai.
lamhon ko un,
kayd karne ko ji chahta hai.

Comments

Popular posts from this blog

Jeeta Raha

kash ye kash na hota

Sapne !!